Tuesday, March 29, 2016

Corrupted Memory Ko Kaise Format Kare

Corrupted Memory Ko Kaise Format Kare



hii dosto mai aaj aapko ek bahut badhiya bat batane wala hu
aaj ke jamane me log jub memory format nahi hota hai to wo
samjhte hai ki memory kharab ho gaya hai use thik karne ka ek upay hai

use hum computer se format kar sakte hai command ke dawara


corrupted ya kharab memori ko kaise formet kare

matlab kharab memory ko kaise thik kare ya format kare



important notice aap sirf wo hi memory format kare jo farmat mange aur format na ho raha ho use command dwara format karte hai

 wo kharab memory ko le usb me dall kar computer me plugin kare

ab aap usko hame command ke dawara format karna kyoki simply us memory format marne se nahi hota hai tab command se format mara jata hai

run command se format dhyan purwark marna hai bahut aasan hai 

step 1.run command ko open kare window+r press karke usme cmd
           type karke enter press kare

step 1. uske bad usme diskpart type karke enter press kare

ab ek naya page khule ga usme aapko space deke list disk type karke enter press kare

ab aapke samne aisa hi image dikhe ga



ab aap yaha dekh sakte 0 wale par mera hard disk hai aur

1 wale par mera currepted memory ab aapko

       ye type karna hai ab yaha se harek code ko dalne se pehle aapko space dalke code ko dale jaise

 ( select disk 1) ye type karke enter press kare

uske bad ( clean) type karke enter press kare

uske bad aapko ye type karna hai( create partition primary) uske bad enter press kare

uske bad ( active) type karke enter press kare

uske bad ye type kare
( select partition 1) uske bad enter press kare uske bad ye type kare

( format fs= fat 32) uske bad enter press kare

to ab format hone lagega to aisa hi photo ayega jaisa niche hai


uske bad aap dekh sakte ho ki 0% se format hona suru ho chukka hai

ab format hone ke 30 minute tak intjar kare

jab 100% format ho jaye to aap isko close karde ab aapka memory format ho chukka hai

ha aur ek jaruri bat jaha jaha maine code me space diya hai waise waise aapko bhi space dena hai jaise maine ye code diya hai

( format) iske pehle aap dekh sakte hai ki f ke pehle maine space
diya hai waise hi aapko dhyan purwak code ko apne computer ke comman me dalna hai tab hi code work karega

agar aapko ye trick atcha laga to hame like aur subscribe karna na bhule

       aur bhi computer se related tricks janne ke liye yaha click kare
                                    computer tricks
                                    android tricks

Share this

2 Responses to "Corrupted Memory Ko Kaise Format Kare"

  1. Mera memory card format kahi se bhi nahi ho raha hai to is memory card ko kaha se format kare aap bataye

    ReplyDelete
  2. create partition primary nhi ho raha hai ab kya karu ?

    ReplyDelete